Babri Masjid Case ka faisla likhne 1 Mahina lagey ga: Supreme Court
New Dehli: Supreme Court ne ayodhya tanaza ki 32 win din samaat ke douran jumaraat ko aik baar phir duhraya ke 18 october tak har haal mein samaat poori karni hogi. is muamle ki samaat ke douran cheif justice Gogoi, S.A. Bopde, D.Y. Chandrachud, Ashok Bhushan aur S. Abdul Nazeer, ki aaeni binch naay kaha ke woh chahti hai ke 18 october taq har haal mein samaat poori ho .
Justice Gogoi ne sabhi fareeqon se appeal ki ke woh taye muddat mein apni daleelen poori karlen, kyunkay inhen faisla likhnay mein bhi kam se kam 1mahina chahiye.
unhon naay kaha, “hamein faisla likhnay mein chaar haftay lagen ge, is liye tey muddat ko badhaya nahi ja sakta. agar hum aisa krpaye to yeh moujza se kam nahi hoga.”
Yaad rahe k cheif justice 17 November ko retire ho rahay hain.