Shehla Rashid ne intikhabi Politics ko kaha ‘Al-vida’, Social Activist bani rahengi
Jawahar laal Nehru University ( JNU) ki sabiq Taliba , jammu and Kashmir peoples movement ki leader aur samaji karkun Shehla rasheed ny saat mahinay mein hi intikhabi siyasat se tauba kar li hai. asal dhaaray ki siyasat chorney ke baad unhon ny kaha ke woh kashmirion par zulm mazeed bardasht nahi kar sakti hain.
Shehla ny is qadam ke peechay bock development council ke intikhab ke elaan ko zimma daar thehraya. unhon ny kaha ke ”markazi hukoomat un intikhabaat ke zareya duniya ko yeh dikhnana chahti hai ke Kashmir mein sab kuch mamool par hai aur mein –apne logon par zulm bardasht nahi kar sakti.”