Swami Chinmayanand par rape ka ilzam lagane awali larki girftar
14 din ki adalti hirasat mein
Shahjehan poor case mein Ex Central Minister Swami Chinmayanand par ilzaam laganay wali larki ko girftar kar liya gaya hai. larki par Swami Chinmayanand se vasuli karne ka ilzaam tha. is ka aik video bhi samnay aaya tha jis ke baad larki aur is ke teen sathiyon par police ne case darj kya tha .
BJP leader Swami Chinmayanand par rape ka ilzaam lagane wali larki ko 14 din ke liye adalti hirasat mein bhaij diya gaya hai. SIT ne aaj subah mutasirah ko black milng karte hue raqam vasuli ke ilzaam mein girftar kya tha. girftar larki ko muqami adalat le jaya gaya jahan usay 14 dinon ki adalti hirasat mein bhejnay ka faisla sunaya gaya .
ab Shahjehan poor case mein Swami Chinmayanand bhi girftar ho chuka hai aur un par rape ka ilzaam ka ilzaam aed karne wali larki bhi girftar hai.
qabil zikar hai ke guzashta dinon Swami Chinmayanand ko SIT ne girftar kya tha aur pooch taachh ke douran Swami Chinmayanand ne apni kayi ghaltion ka aitraaf kya tha. baad me unhein kuch bemari ki wajah se hospital mein daakhil karaya gaya jahan un ka ilaaj chal raha hai .