Taza Khabrein

Manipur: ‘Mein ne Mulk ki hifazat ki, lekin biwi ki izzat nahi bacha paaya ‘

Manipur mein be libaas ki gai khawateen ki video ne sabhi ko sharminda kar diya hai, mazloom khawateen mein se aik ke shohar ne kaha ke’ ‘ mein ne kargil mein mulk ko bachaya, lekin apni biwi ki izzat nahi bacha paaya.’ ‘

Manipur mein guzashta taqreeban 2 mah se jari nasli tashadud mein ab tak 150 se zayed logaon ke halaak honay ki khabrein samnay aa chuki hain. is darmiyan manipur ki woh video logaon mein zabardast narazgi paida kar rahi hai jo ke 2 din qabal social media par virl hui hai. Is video mein kuch khawateen ko be libaas kar ke ghumate hue dekhaya gaya hai jis ko dekh kar sabhi sharmsaar ho rahay hain. ab un be libaas ki gayi khawateen mein se aik ke shohar ( jo ke sabiq fouji ahelkaar hai ) ne apni takleef aur mayoosi ka izhaar media ke samne kya hai .

Hindi news portal ‘ Amar ujala’ par shaya aik report mein bataya gaya hai ke aik channel se baat karte hue mazloom khatoon ke shohar aur sabiq fouji ahelkaar ne kaha ke’ ‘ mein ne kargil mein mulk ko bachaya, lekin apni biwi ki izzat nahi bacha paaya.’ ‘ be libaas ki gayi khatoon ke shohar ne bataya ke woh aasam rigment ke soobay dar ki shakal mein hindustani fouj mein khidmaat injaam de chuka hai. Unhon ne mulk ke liye pesh apni khidmaat ka tazkara karte hue kaha’ ‘ mein ne kargil jung mein mulk ke liye ladai ladi aur Hindustani aman fouj ke hissa ke tor par Srilanka bhi gaya. mein ne maulk ki hifazat ki, lekin mein mayoos hon ke apni subuk doshi ke baad mein –apne ghar, apni biwi aur saathi gaon walon ki hifazat nahi kar saka.’ ‘

Mutasirah khatoon ke shohar ne baat cheet ke douran bataya ke 4 May ki subah bheed ne ilaqe ke kae gharaon ko jala diya tha aur 2 khawateen ko be libaas kar diya aur unhein logon ke samnay gaon ki sadkaon par chalne ke liye majboor kya.

Sabiq fouji ahelkaar ne yeh bhi kaha ke wahan police maujood thi, lekin unhon ne koi karwai nahi ki. apni mayoosi aur be basi ka izhaar karne ke baad mutasirah ke shohar ne kaha ke ” mein chahta hon un sabhi logon ko sakht saza mile jinhon ne ghar jalaaye aur khawateen ko be izzat kya.”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *