Public pareshan hai ke Humnabad ki identity kahin ‘Pig-City’ ki na ban jaye.
Humnabad me jahan par aawara kutton aur moveyshon ki Wajh se gaari sawaron ko kayi aik pareshaniyon ka saamna karna prhrha hai, uskay ilawa Pig ki Wijh se bhi Humnabad ki public ko pareshaniyon ka saamna hai. Humnabad ke har mohalla mein kam se kam 40-50 Pig groups ki shakal mein mojood hain unke wastage se gandagi mein izafah ho raha hai .
dosray janwaron ki bah nisbat Pig mein bohat taizi se barhti hai aur yeh insanon ki sahet ke lyie kaafi nuqsanda hotay hain unki Wijh se kayi khatarnaak bemariyan phelnay ka khadsha bana rehta hai, unki abadi ko qaboo mein rakhnay ke liye Humnabad baldia ki janib se koi iqdamaat nahi kiye jatay hain .
un mein izafah ka bunyadi sabab yeh hai k unko unki ghiza kachray ke dhair se ba-asani mil rahi hai, Humnabad ke aksar mohallajaat mein kayi kayi dinon tak kachray ki nikasi nahi ho rahi hai aur yeh kchrah pig ki bohtat mein Muawin saabit ho raha hai .
yaad rahe ke Humnabad jo ke taluka hai,. jahan mukhtalif moqaon se villages k ilawa digar cities se bhi logaon ke rishta daaron ka aana jana laga rehta hai, Humnabad Bidar dist. ka ek aisa taluka hai jis par se National Highway guzarti hai. jahan hazaron logaon aur gariyon ki aamdo Raft raat din lagi rehti hai. muqami awam is baat ko le kar bhi fikarmand hain ke pig ki is qader bohtat se is baat ka inkaar bhi nahi kiya ja sakta ke Humnabad kahin pig ki bohtat wala shehar ke naam se nah jana jaye. baldia Humnabad apni zimma daari ko ada kare aur iss janib khusoosi tawajah dainay ki ashad zaroorat hai .
Humnabad mein nalion ki safai aur kachray ki nikasi ka masla b kae martaba social media aur akhbarat mein shaya howa hai uskay bajod kuch karwai nahi hoti hai. KDP meeting mein MLA Humnabad ne Baldia k cheif officer ko wazeh hidayat jari karte hue kaha tha ke safai ke maamla mein kisi qisam ki kotahi bradsht nahi ki jaegi uskay bawajood b koi mo-asar intizamaat nahi kiye jarahay hain .
awam ka maan-na hai k cheif officer apne staff ke sath milkar Humnabad ke har mohalla ka tafseeli daora karte hue awaami masail ka jaiza lein aur unko hal karne ke iqdamaat karen .