Govt. Servants ki ab tk jo mann-maani chali, wo ab agey nahi chalyegi: Cabinet Minister Prabhu Chuhan
Basvakalyan : Gau Mata ki raksha ke liye mein minister bana hon, Hyd-karnatak ka naam ugarwadi honay ki wajah se nikaal kar kalyan-karnatak ka naam diya gaya hai. yeh baatein prabhu chuhan ne Basvakalyan CMC, Veternary Hospital aur Govt. Hospital ka achanak daora karte hue ki .
Minister ne Duty pr maujood servents ki haazri register le kar sab ki haazri li aur jo absent hain unkay khilaaf karwai kar ny ke liye kaha. aur vha n maujood afrad ko kaha ke ab tak jo man maani chali ab agay nahi chalay gi. is terha ki saf saf batein karte hue dekha gaya.
Anubhau Mantap mein Prabhu Chuhan ka istaqbaal Basvaraj Pettadevarao ne kya kyunkay unhon ne Minister ban’ne ke baad pehli bar Anubhau Mantap aye.
un ke sath minister womens & Child mojood the. prabhu chuhan ne kaha ke mein Anubhau Mantap ke liye 20 crore rupiye laya hon aur mazeed jitni bhi raqam chahiye woh hamaray cheif minister dainay ke liye tayyar hain .
Main apni marzi se Animal Husbandary ki ministry liya hon isliye k mein gau mataa ki khidmat karoon ga mein Bidar aur Yadgir Dist. ka daora karunga.
is moqa prMukhtalif taleemi idarun ke zimedaron ne mukhtalif mutalbat par mushtamil Memorandum dete hue taleemi masail ko hal karne ki appeal ki. jin mein khaleel Gobrey, Faseeh chaudhari, taajuddin sir, aur deegar Muaziz shakhsiyaat ne mukhtalif masail par shikayatein paish ki jisay wazeer ne qubool karte hue munasib andaaz mein hal karne ka yaqeen dilaya .