Bidar District

Syed Jamal e Bahhar(R) k Uras shareef ki mubarak baad

Naujawan samaji karkun Mohammad junaiduddin ki press note ke mutabiq Mustaidpura Bidar mein honay walay syed jamal e bahhar(R) ke Uras shareef ke mauqa par syed jamal bahhar rehmat Allah alaihi ki aqeedatmandan ko Mohammad Ayaz Khan Secretary KPCC, Mohammad Nawaz Khan samaji karkun, S.K feroz ke ilawa janab Zafar Qureshi , janab Sultan Qureshi , janab Mohammad Fareeduddin aur samaji karkun Mohammad junaiduddin ne Uras shareef ki mubarak baad paish ki hai .

Syed Jamal e Bahhar(R) k Uras shareef Jamiat alquraish ki janib se har saal barri dhoom dhaam se manaya jata hai jis mein sandal ki jumla rasomaat ke ilawa do din taq qawali ka programme hota hai jo nojawanon ke liye bara hi purkashish hai .

Is saal bhi qawali ka programme 25 aur 26 / September ki raat mein hai aur 25 ki subah ahlyan Jamiat alqrish nay danghal rkhahe jis se sabhi istifada kar saktay hain .

Mohammad junaiduddin nay nojawanon se appeal ki hai ke woh Uras shareef mein shirkat karte hue Uras ke aadaab ko nah bhulen. motocycle kaghlt istemaal nah ho. aulia Allah ki zindagi par chalna hi hamari zindagi kamqsd honachahie .

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *